Tuesday, November 1, 2011

kya ajab raat thi. . .

kya ajab raat thi,kya gazab raat thi,
dansh sehte rahe,muskurate rahe,
deh ki urmiyan ban gayin bhagwat,
hum samarpan bhare arth paate rahe

man main apradh ki ek shanka liye,
kuch kriyayen hume jab hawan si lagin,
ek duje ki saanson main ghulti hui
boliyan bhi hume jab bhajan si lagin

koi bhi baat humne na ki raat bhar,
pyaar ki dhun koi gungunate rahe,
dej ki urmiyan ban gayin bhagwat
hum samarpan bhare arth paate rahe

poornima ki anagh chandani sa badan
mere agosh main yun pighalta raha
chodhiyon se bhare hath lipte rahe
surkh honthon se jharna sa jharta raha

ek nasha sa ajab cha gaya tha ki hum
khud ko khote rahe tum ko paate rahe,
deh ki urmiyan ban gayin bhagwat,
hum samrpan bhare arth paate rahe

aahaton se bahut dur pipal tale
weg ke vyakaran paayalon ne gadhe
saam geeton ke aaroh awroh main
maun ke chumbani suqt humne padhe

saunp kar un andheron ko sab prashn hum
ek anokhi diwali manate rahe
deh ki urmiyan ban gayin bhagwat
hum samarpan bhare arth paate rahe

6 comments:

  1. Dear, These lines are written by Dr. Kumar Vishwas. Thank .

    ReplyDelete
  2. Dear, These lines are written by Dr. Kumar Vishwas. Thank .

    ReplyDelete
  3. @Rajat: u r correct. These lines are written by Kumar

    ReplyDelete
  4. kya baat hai, iss kavita ne do jism ke milan ki dastaa kitne pyare sabdo me baya
    a kar di.....!!!!!!!!

    ReplyDelete

Thanks for your comment.