Tuesday, November 1, 2011

HUNGAMA BY DR. KUMAR VISHWAS

bhramar koi kumudni par machal baitha to hungama
humare dil main koi khwab pal baitha to hungama
abhi tak dub kar sunte the jo kissa mohobbat ka
main kisse ko haqiqat main badal baitha to hungama

kabhi koi jo khulkar hans liya do pal to hungama
koi khwabon main aakar bus liya do pal to hungama
main us se dur tha to shor tha sazish hai sazish hai
use bahon main khulkar kas liya do pal to hungama

jab aata hai jiwan main khayalaton ka hungama
ye zazbaaton mulakaton hasin raaton ka hungama
jawani ke kayamat daur main ye sochate hain sab
ye hungamon ko baaten hain ya hai baaton ka hungama

kalam ko khoon main apni dubota hon to hungama
gireban apna aansun main bhigota hon to hungama
jo mujh par bhi nahi khud ki khabar woh hai jamane par
main hansata hon to hungama main rota hon to hungama

ibarat se gunahon tak ki manjil main hai hunagam
jara si pi ke aaye bus to mehfil main hai hungama
kabhi bachpan jawani aur budhape main hai hungama
jehen main hai kabhi to fir kabhi dil main hai hungama

hue paida to dharti par hua abad hungama
jawani ko humari kar gaya barbad hungama
humare bhal par taqdeer ne ye likh diya jaise
humare samne hai aur humare baad hungama

1 comment:


  1. 'bhramr koiu kumudani par machal baitha toh hungama'

    i love kumar vishwas poetry....

    ReplyDelete

Thanks for your comment.