Showing posts with label Poem. Show all posts
Showing posts with label Poem. Show all posts

Monday, October 17, 2011

Main to jhaunka hoo


मैं तो झोंका हूँ हवा का उड़ा ले जाऊँगा
जागती रहना तुझे तुझसे चुरा ले जाऊँगा

हो के कदमों पे निछावर फूल ने बुत से कहा
ख़ाक में मिल के भी मैं खुश्बू बचा ले जाऊँगा

कौन सी शै मुझको पहुँचाएगी तेरे शहर तक
ये पता तो तब चलेगा जब पता ले जाऊँगा

कोशिशें मुझको मिटाने की भले हों कामयाब
मिटते-मिटते भी मैं मिटने का मजा ले जाऊँगा

शोहरतें जिनकी वजह से दोस्त दुश्मन हो गये
सब यह रह जायेंगी मैं साथ क्या ले जाऊँगा

Monday, August 1, 2011

TANHA rehna seekh raha hoon.

TANHA rehna seekh raha hoon.
Mar ke jeena seekh raha hoon.

Mang ke paana seekh liya tha.
Paa ke khona seekh raha hoon.

Madhoshi ne bohot sataya.
ab hosh me rehna sikh raha hun.

Sikhaya tha usne baate karna.
Ab chup rehna seekh raha hun.

Sabar ko apni raah bana kar.
Kaanch pe chalna seekh raha hoon.

Khoob hasaya auron ko maine.
Khud ko hasana seekh raha hoon.

Jeeney ke hain ajeeb taqazey.
Zinda rehna seekh raha hoon.

Gam ne mujh ko bohat hai khaya.
Ab gam ko khana seekh raha hoon.

Yad me uski sadiyon tak jaga.
ab chain se sona seekh raha hun.

Dosto ko bhi bhula diya tha maine.
Dushmano ko apnana seekh raha hun.

Har bar manaya usko maine.
Ab khud ko manana seekh raha hun.

Wo gayi jo mera hath chhodkar.
ab tanha chalna seekh raha hun.

Thursday, June 2, 2011

Le Chal Muje Waha Jo Mukaam Akhri Ho

Le Chal Muje Waha Jo Mukaam Akhri Ho
Zindaagi Teri Safar Kaa Jo Anjaam Aakhri Ho

Maut Agar Hain Nasha Tutne Kaa Naam
Zindaagi Pilade Ab Tu Wo Jaam Akhri Ho

Khuda Bhii Mere Dosto Kii Tarah Bewafa Nikla
Dosto Ke Saath Mere Ye Inteqaam Akhri Ho

Mere Sher Meri Begunaahi Kaa Sabut Hain
Ya Khuda Ab Ke Qaatilon Kii Pehchhan Akhri Ho

Kashtiyon Ke Saath Yaha Saahil Bhi Dub Gaye
Ret Per Mere Kadmo Ke Nishhaa Akkhri ho..

Wednesday, April 13, 2011

Kabhi - kabhi


Kabhi Apni Hasi Pe Bhi Aata Hai Gussa
Kabhi Saare Jahan Ko Hasane Ko Ji Chahta Hai
Kabhi Chupa Leta Hai Gamo Ko Bhi Kisi Kone Mein Ye Dil
Kabhi Kisi Ko Sab Kuch Sunane Koji Chahta Hai

Kabhi Rota Nahi Mann Kisi Kimaut Par Bhi
Kabhi Yoon Hi Aansoo Bahane Ko Ji Chahta Hai
Kabhi Lagta Hai Acha Aakash Mein Aazad Udna
Kabhi Kisi Bandhan Mein Bandh Jaane Ko Ji Chahta Hai

Kabhi Sagar Ki Lehron Se Bhi Darta Nahi Dil
Kabhi Unhi Lehron Mein Sama Jaane Ko Ji Chahta Hai
Kabhi Lagte Hai Apne Begane Se
Kabhi Begano Ko Bhi Apna Banane Koji Chahta Hai

Kabhi Sharam Nahi Aati Gairon Se Bhi
Kabhi Yoon Hi Sharmane Ko Ji Chahta Hai
Kabhi Milta Nahi Kisi Ke Bhi Lakh Kehne Per Bhi Yeh Dil
Kabhi Kisi Anjane Se Mil Jaane Ko Dil Chahta Hai

Kabhi Upper Wale Ka Naam Bhi Aata Nahi Zubaanpar
Kabhi Usko Bhi Manane Ko Ji Chahta Hai
Kabhi Lagti Hai Yeh Zindagi Badi Suhani
Kabhi Zindagi Se Utth Jaane Se Dil Chahta Hai.