Monday, August 1, 2011

TANHA rehna seekh raha hoon.

TANHA rehna seekh raha hoon.
Mar ke jeena seekh raha hoon.

Mang ke paana seekh liya tha.
Paa ke khona seekh raha hoon.

Madhoshi ne bohot sataya.
ab hosh me rehna sikh raha hun.

Sikhaya tha usne baate karna.
Ab chup rehna seekh raha hun.

Sabar ko apni raah bana kar.
Kaanch pe chalna seekh raha hoon.

Khoob hasaya auron ko maine.
Khud ko hasana seekh raha hoon.

Jeeney ke hain ajeeb taqazey.
Zinda rehna seekh raha hoon.

Gam ne mujh ko bohat hai khaya.
Ab gam ko khana seekh raha hoon.

Yad me uski sadiyon tak jaga.
ab chain se sona seekh raha hun.

Dosto ko bhi bhula diya tha maine.
Dushmano ko apnana seekh raha hun.

Har bar manaya usko maine.
Ab khud ko manana seekh raha hun.

Wo gayi jo mera hath chhodkar.
ab tanha chalna seekh raha hun.

No comments: