Sitaron se aage jahan aur bhi hain
Abhi ishq ke imtihan aur bhi hain
Tahi zindagi se nahin ye fazayen
Yahan saikadon karawan aur bhi hain
Kanaa'at na kar aalam-e-rang-o-bu par
Chaman aur bhi, aashiyan aur bhi hain
Agar kho gaya ek nasheman toh kya gham
Maqamat-e-aah-o-fugaan aur bhi hain
Tu shahin hai parwaz hai kaam tera
Tere saamne aasman aur bhi hain
Isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja
Ke tere zamin-o-makan aur bhi hain
Gaye din ke tanha tha main anjuman mein
Yahan ab mere raazadan aur bhi hain
No comments:
Post a Comment