Friday, October 22, 2010

Jad ki muskan

Ek din tane ne bhi kaha tha - (Jad = root Tana= Stem Daal = Branch, etc)
Jad? Jad to jad hi hai
Jivan se sada dari rahi hai
aur yahi hai uska sara itihas
ki zameen me muh gadaye padi rahi hai
Lekin mai zameen se upar utha,
bahar nikala, badha hu, majboot bana hu.
Esi se to tana hu.
Ek din daalo ne bhi kaha tha -
Tana? kis baat par hai tana?
Jaha bithaal diya gaya tha,
wahin par hai bana.
Pragatisheel jagati me til bhar nahi dola hai
khaya hai, motaya hai, sehlaya chola hai
Lekin hum tane se futi,
Deesha Deesha me gayi,
upar uthi, neehe aayi,
har hawa ke liye dol bani, laharai.
Esi se to Daal kehlayin.
Ek din pattiyo ne bhi kaha tha -
Daal? Daal me kya hai kamaal?
Mana wah jhoomi, jhuki, doli hai.
Dhwanipradhan duniya me
ek shabd bhi wah kabhi boli hai?
Lekin hum har-har swar karti hai..
Murmur swar marm bhara bharti hai.
Nutan har warsh hui,
Pathjhar me jhar,
Bahar phut phir chahartin hai..
Vithkit chitta panthi ka shap tap harti hai.
Ek din phoolo ne bhi kaha tha -
Pattiyan? Pattiyon ne kya kiya?
Sankhya k bal par bas daalo ko chap diya.
Daalo ke bal par hi chal chapal rahi hai,
Hawao ke bal par hi machal rahi hai.
Lekin hum apne se khule, khile ,phule ,hai
Rang liye, Ras liye, parag liye,
Bhramro ne aakar hamare gun gaye hai,
hum par boraye hai.
Sab ki sun payi hai,
Jad Muskayi hai.

No comments: