Aankhon mein Khwaab!!
Chehre Par Muskaan!!
Dil mein Khwaishe..
Bade Hone Ke Armaan
Chalte Chalte Yeh Daur
Kaha Kho Jaate hai
Pata Nahi Kyon,
Yaar,Hum Bade Ho Jaate Hai..!!
Ek Halki Si Muskaan Chehre Par
Aaj Bhi Sajaye Baithe Hai!!
Kal Ki Fikar mein Hum,
Apna Aaj Gawaye baithe Hai
Waqt Aur Halaat Ke Mutabik
Hum To Sawar Jaate Hai
Par Pata Nahi Kyon,
yaar, Bade Ho jaate Hai
Zimmedariyan Bhi
Badhti Reh Gayi
Umar Ke Mutabik Sehat
Ghathti Reh gayi
Masoom Se Khwaab
Palkon mein So Jate Hai
Pata Nahi Kyon
Yaar, Bade Ho Jaate Hai
Khel Bhaag Daud Ke
Ab Zaroorate Khilaati hai
Paise,Status Ke peeche
Har Ek Ko Bhagaati Hai
Aage Bhadne Ki Daud mein Hum Rishto
Ko Peeche Chodd jaate Hai
Pata Nahi Kyon,
Yaar, Hum Bade Ho Jaate Hai
Ruthna-Manana Guzra
Hua Daur Sa Lagta Hai!!
Aaj ka Aadmi Shikayaton
Ko Mann mein Bharta Hai
Hum Apno Se Pal Bhar Mein
Door Ho Jaate hai
Pata Nahi Kyon,
Yaar, Hum Bade Ho Jaate hai
"Khwaish" Apne Dil Ke Dhadkano Ki Suun
yeh Bhi Kuch keh jaate hai!!
Awaaz nahi inme par Yeh Har
Zakhm Duniya ke Seh Jaate Hai
Khilone Toote To Juud Jaaye!!!!!
Dil Toote To Hum Ro Jaate Hai
Pata Nahi Kyon,
Yaar, Hum Bade Ho Jaate Hai
No comments:
Post a Comment
Thanks for your comment.