Saturday, November 5, 2011

Puraani kashti ko paar lekar


Puraani kashti ko paar lekar, fakat hamaara hunar gaya hai
Naye khewaiye kahin na samjhein, nadi ka paani utar gaya hai
Tum hoshmandi ke oonche daawe, kissie munaasib jagah pe karte
Ye maikda hai yahan se koi, kahin gaya bekhabar gaya hai
Na khwaab baaki hain manzilon ke, na jaankaari hai rahgujar ki
Fakir-man to bulandiyon ke shikhar pe jaakar thahar gaya hai
Hua tajurba yahi safar mein, woh rail ka ho ke zindagi ka
Agar mila bhi haseen manzar, palak jhapakte gujar gaya hai
Udaas chehre ki jhurriyon ko, barasti aankhein bata rahi thi
Hamaare sapnon ko sach banaane, jigar ka tukda shahar gaya hai
mere baare mein kuchh na poochho, purani masti abhi jawa hai
Ki bazm-e-yaara mein sab gujaari, pata nahin ab kidhar gaya hai

No comments: