Ye baat samajh main aai nahi, Aur Ammi ney samjhai nahi.
Main kaisay meethi baat karoon?, Jab meethi cheeez khai nahi
AAapi bhi pakaati hain Halwa, Woh aakhir kiyon ’Halwaai’ nahi?
Bhayya ki mangni ho gai kal, Kiyoon kal hi ’Dulhan’ mangwaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi
Naani ke miyaan jab Nana hain, Dadi ke miyaan jab Dada hain……
Tab Aapi se main ne poocha ..Baaji ke miyaan kiya ’Baaja’ hain?
Woh huns huns kar yoon kehnay lagi, A bhai nahi yeh bhai nahi
Ye baat samajh main aaai nahi
Jab naya maheena aata hay, Bijli ka bill aa jaata hay
Halaankey Baadal bechaara ye bijli mufft Lutata hay
Phir hum ne apnay ghar Bijli….Kiyoo Badal se lagwaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi
Agur Billi ’ Share’ ki khala hay? …phir hum ne ussay kiyoon pala hay?
Kiya ’Share’ bohat nalaayak hay? Khala ko maar nikala hay?
Ya jungle ke Raja kay yahaan… kiya milti doodh malaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi
Kiyoon Lambay baal hain bhaalu ke ? Kiyoon uss ki tind kraai nahi?
Kiya ’woh’ bhi Ganda bacha hay?.. ya uss ke Abbu bhai nahi?
Yeh uss ka ’Hair Style’ hay?….. ya Jungle main koi Naai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi,
Jo Taaray jagmag kartay hain, Kiya unn ki ’ ChaChee Taai’ nahi?
Ho ga koi rishta sooraj se? ye baat humain batlaai nahi
Par Chanda kaisa mamoo hay? jab ammi ka woh ’bhai’ nahi?
Ye baat samajh main aai nahi, Aur Ammi ne samjhaai nahi
Main kesay meethi baat karoon? jab meethi cheeji khai nahi
No comments:
Post a Comment
Thanks for your comment.