Wednesday, April 20, 2011

Kalyug ki Kavita


Hey Krishna tu is kalyug mein aa kar to dikhaa
Tune 18 saal ki umar me mama kans ko mara,
BIN LADEN ko hath laga kar to dikha.

Tune Arjun ko to Saari Geeta sunayee,
Mere Project Manager se ek baar baat kar ke to dikha

Tune to Arjun ka Sarathi banke Pandavon ko jitaaya
Indian Cricket team ka Coach ban ke WorldCup jitaake to dikha..

Tune bhari mehfil mein draupadi ko saree pehnai,
Mallika sherawat ko ek jodi kapde pehna ke to dikha..

Tune gokul ki 1600 gopiyan patai,
Meri company ki sirf ek ladki ko pata kar to dikha..

Hey Krishna tu is kalyug mein aa kar to dikha..

Ye baat samajh main aai nahi


Ye baat samajh main aai nahi, Aur Ammi ney samjhai nahi.
Main kaisay meethi baat karoon?, Jab meethi cheeez khai nahi

AAapi bhi pakaati hain Halwa, Woh aakhir kiyon ’Halwaai’ nahi?
Bhayya ki mangni ho gai kal, Kiyoon kal hi ’Dulhan’ mangwaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi

Naani ke miyaan jab Nana hain, Dadi ke miyaan jab Dada hain……
Tab Aapi se main ne poocha ..Baaji ke miyaan kiya ’Baaja’ hain?
Woh huns huns kar yoon kehnay lagi, A bhai nahi yeh bhai nahi
Ye baat samajh main aaai nahi

Jab naya maheena aata hay, Bijli ka bill aa jaata hay
Halaankey Baadal bechaara ye bijli mufft Lutata hay
Phir hum ne apnay ghar Bijli….Kiyoo Badal se lagwaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi

Agur Billi ’ Share’ ki khala hay? …phir hum ne ussay kiyoon pala hay?
Kiya ’Share’ bohat nalaayak hay? Khala ko maar nikala hay?
Ya jungle ke Raja kay yahaan… kiya milti doodh malaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi

Kiyoon Lambay baal hain bhaalu ke ? Kiyoon uss ki tind kraai nahi?
Kiya ’woh’ bhi Ganda bacha hay?.. ya uss ke Abbu bhai nahi?
Yeh uss ka ’Hair Style’ hay?….. ya Jungle main koi Naai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi,

Jo Taaray jagmag kartay hain, Kiya unn ki ’ ChaChee Taai’ nahi?
Ho ga koi rishta sooraj se? ye baat humain batlaai nahi
Par Chanda kaisa mamoo hay? jab ammi ka woh ’bhai’ nahi?

Ye baat samajh main aai nahi, Aur Ammi ne samjhaai nahi
Main kesay meethi baat karoon? jab meethi cheeji khai nahi

Wednesday, April 13, 2011

Kabhi - kabhi


Kabhi Apni Hasi Pe Bhi Aata Hai Gussa
Kabhi Saare Jahan Ko Hasane Ko Ji Chahta Hai
Kabhi Chupa Leta Hai Gamo Ko Bhi Kisi Kone Mein Ye Dil
Kabhi Kisi Ko Sab Kuch Sunane Koji Chahta Hai

Kabhi Rota Nahi Mann Kisi Kimaut Par Bhi
Kabhi Yoon Hi Aansoo Bahane Ko Ji Chahta Hai
Kabhi Lagta Hai Acha Aakash Mein Aazad Udna
Kabhi Kisi Bandhan Mein Bandh Jaane Ko Ji Chahta Hai

Kabhi Sagar Ki Lehron Se Bhi Darta Nahi Dil
Kabhi Unhi Lehron Mein Sama Jaane Ko Ji Chahta Hai
Kabhi Lagte Hai Apne Begane Se
Kabhi Begano Ko Bhi Apna Banane Koji Chahta Hai

Kabhi Sharam Nahi Aati Gairon Se Bhi
Kabhi Yoon Hi Sharmane Ko Ji Chahta Hai
Kabhi Milta Nahi Kisi Ke Bhi Lakh Kehne Per Bhi Yeh Dil
Kabhi Kisi Anjane Se Mil Jaane Ko Dil Chahta Hai

Kabhi Upper Wale Ka Naam Bhi Aata Nahi Zubaanpar
Kabhi Usko Bhi Manane Ko Ji Chahta Hai
Kabhi Lagti Hai Yeh Zindagi Badi Suhani
Kabhi Zindagi Se Utth Jaane Se Dil Chahta Hai.