Friday, October 22, 2010

Koi Deewana kehta hai full version

Koi deewana kehta hain koi pagal samjhta hain,

magar dharti ki bechani ko bas badal samjhta hain,

Main tujhse dur kaisa hu,tu mujhse dur kaisi hain,

Yeh tera dil samjhta hain ya mera dil samjhta hain



Ke mohobbat ek ehsaason ki paawan si kahaani hain,

kabhi kabira deewana tha kabhi meera diwaani hain,

Yahaan sab log kehte hain meri aakho mein aasu hain,

Jo tu samjhe toh moti hain jo na samjhe toh paani hain



Mat poooch ki kya haal hai mera tere aage,

Tu dekh ke kya rang hain tera mere aage



Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta,

Yeh aasu pyaar ka moti hain isko kho nahi sakta,

Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le,

Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta



Bhramar koi kumudni par machal baitha toh hungama,

Humare dil mein koi khwaab pal baitha toh hungama,

Abhi tak doob kar sunte the sab kissa mohobbat ka,

Main kisse ko hakikat mein badal baitha toh hungama

Nazar me sokhiyan, Lab par mohabbat ka tarana hai,
Meri ummeed ki jadd me abhi saara zamana hai,
kayi jeete hai dil ke desh par maloom hai mujhko,
silkandar hoon mujhe ek roz khali hi jana hai,

wo jiska teer chupke se, jigar ke paar hota hai
wo koi gaer kya, apna hi ristedaar hota hai
kisi se apne dil ki baat tu kehna na bhoole se
Yaha khat bhi zara si der me akhbaar hota hai

Har ek nadiya ke hoto pe samandar ka taraana hai,
yaha farhaad ke aage sada koi bahana hai…!
Wahi baatein purani thi, wahi kissa purana hai,
Tumhare aur mere bich me phir se jamana hai…!!

Kalam ko khhon me khud ke dubota hoon to hangama,
Girebaan apnaa aansu me bhingota hoon to hangama,
Nahi mujh par bhi jo khud ki khabar wo hai jamane par,
Main hansta hoon to hangama, mai tota hoon to hangama.

Dharti banna bahut saral hai, kathin hai badal ho jaana
sanjeeda hone me kya hai, muskil pagal ho jana….!
Rang khelte hai sab lekin, kitne log aise hai jo,
seekh gaye jo faagun ki masti me faagun ho jana….!!

Kisi Patthar Me Murat Hai, Koi Patthar Ki Murat Hai..
Lo Humne Dekh Li Duniya, Jo Itni Khubsurat Hai…!
Zamana Apni Samjhe, Par Mujhe Apni Khabar Ye Hai..
Mujhe Teri Zaroorat Hai, Tumhe Meri Zaroorat Hai…!!

Swayam se door ho tum bhi Swayam se door hain hum bhi
bahut ho mashur ho tum bhi bahut mashoor hain humbhi
bade magroor ho tum bhi bade magroor hai hum bhi
Atah mazboor ho tum bhi Atah mazboor hain hum bhi


Main uska hun wo is ehsaas se inkaar karta hai
Bhari mehfil mein bhi ruswaa mujhe har baar karta hai
yaki hai saari duniya ko khafa hai humse woh lekin
Mujhe maaloom hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai

Main jab bhi tez chalta hoon nazaare choot jate hain
Koi jab roop gadhta hoon to saanche toot jate hain
Main rota hoon to aakar log kandha thap thapate hain
Main hasta hoon to mujhse log aksar rooth jate hain



ye dil barbad karte ek mein kyun abaad rehte ho,
koi kal keh raha tha tum allahbad rehte ho,
ye kaisi shohrate mujko atah kardi mere maula,
main sab kuch bhool jata hu magar tum yaad rehte ho,

panaho mein jo aaya ho to us par waar kya karna
jo dil hara hua ho us pe fir adhikar kya karna
mohabbat ka maza to doobne ki kasmakash mein hain
jo ho malum gehraiyee to dariya paar kya karna

hamre sher sun kar ke bhi jo khamosh itna hai.
khuda jane gurur-e-husn mein madhosh kitna hai
kisi pyale se pooncha hain surahi se sabab maika
jo khud behosh ho wo kya bataye hosh kitna hain

Basti basti ghor udashi, parwat parwat khali pan
man heera ke mol lut gaya ghish ghishri ka tan chandan
is dhatri se us ambar tak do hi cheez gazab ki hain
ek to tera bhola pan, ek mera deewana pan


Jiski dhun par duniya nache, Dil aisa ektara hai
jo humko bhi pyara hain, jo tumko bhi pyara hain
jhoom rahi hain sari duniya jabki hamre geeto par
tab kehti ho pyar hua hai kya ye pyar tumhara hai

mehli mehfil muskana to padta hai
khud hi khud ko samjhana to padta hai
uski ankhon se hokar dil tak jana
raste mein ye maikhana to padta hain
tumko pane ki kshish mein khatam hue
ishq mein itna jurmana to padta hain

sab fasile hote nahi sikke uchal ke
ye dil ke mamle hain zara dekh bal ke
mobileo ke daur ke ahshiq ko kya pata
rakte the khat mein kaleja nikal ke

murda lohe se bhi auzar banae wale,
apne ansoon ko bhi hathiyaar banane wale,
humko bekar samajhte hai siyasadna magar
hum hain is mulq ki sarkar banane wale

jo waqt ki andhi se khabar dar nahi hai,
kuch aur hi hoga wo wo kalankar nahi hai,

sada ye hain neende cheen li dono ki ankhon se,
khata ye thi ki dono ne milkar khwab dekha,

pyar jab jism ki cheekho mein dafan ho jaye
odni is taraf uljhe ki kafan ho jaye
ghar ke aisas jab bazar ki sharto mein dhale
ajnabi log jab hamrah ban ke sath chale
labon se asman tak sabki dua chubh jaye
bheed ka sor jab kano ke pass ruk jaye
sitam ki mari hui waqt ki in ankhin mein
nami ho lakh magar fir bhi muskurayeinge
andhere waqt mein bhi geet gayenge

log kehte rahein is raat ki subah hi nahi
keh de suraj ki rosni ka tajurba hi nahi
wo ladaye ko bhale aar par le jayen
loha le jaye wo lohe ki dhar le jaye
jiski chaukhat se taraju tak ho unpar girwi
us adalt mein hamein bar bar le jaye
hum agar gunguna bhi denge to wo sab ke sab
humko kagaz se hara kar bhi har jayenge
andhere waqt mein bhi geet gayen jayenge

Suno patna ki galiyon se, suno dilli ki galiyon se
ye awazein bhi aati, jinhein bhaise charnai thi wo sarkaar chalati hain


Rang duniya ne dikhaya hai nirala to nirala dekhu….
hai andhere me ujala to ujala dekhu…
Aaina Rakh de mere hath par, aakhir mai bhi…
kaisa lagta hai tera chahne wala dekhu….
Aur jiske aangan se khule the saare raaste,
uss haweli par kaise taala dekhu…






No comments:

Post a Comment

Thanks for your comment.